Eid Ul Fitr Kya Hai? Aur Ise Kyu Manate Hai? Eid History, Popular Story, in Hinglish 2023

Spread the love

Eid Ul Fitr Kya Hai: Eid-ul-Fitr ek tyohaar hai jo Ramzan ke pavitra mahine ke baad manaya jaata hai. Islamic calendar ke anusar, yeh tyohaar Shawwal-ul-Mukarram ke pehle din ko manaya jaata hai. Is parv ko Ramzan ke chaand doobne aur naye chaand ke dikhne par shuru kiya jaata hai. Is din log apne gharo par daawaton ka aayojan karte hain aur is daawat mein apne rishtedaar aur mitron ko aamantrit karte hain.

Bharat mein bhi is parv ko kaafi dhoom-dhaam ke saath manaaya jaata hai aur desh bhar is din sarvjanik avkaash rehta hai taaki log apne parivaar ke saath Eid ke is vishesh parv ka aanand le sake.

Eid Ul-Fitr 2023

2023 mein Eid-ul-Fitr ka tyohaar 21 April, Shukravaar se 22 April, Shanivaar tak hoga. English Translation: Eid-ul-Fitr festival will be celebrated from 21st April, Friday to 22nd April, Saturday in the year 2023.

Eid Ul Fitr Kya Hai?

Eid ul Fitr ka matlab hota hai “roza ka tyohaar” ya “khushi ka din”. Is din muslims apne ghar walon, dost aur rishtedaaro ke saath khushi se milte hai aur ek doosre ko Eidi (dhan) dete hai. Is din muslims masjid jate hai aur ek khaas namaz padhte hai jise “Eid namaz” kehte hai.

Eid ul Fitr ek bahut hi khushi ka din hai, jisme musalman ek doosre ke saath pyaar aur khushi ka izhaar karte hai. Is din unhe apne jeevan ke sabhi dukh aur pareshaani bhulakar khushi se manaana chahiye.

Eid Ul Fitr Kyu Manaya jat hai? (Why Do We Celebrate Eid Ul-Fitr)

Eid-ul-Fitr ya phir jise sirf Eid ke naam se bhi jaana jaata hai, Muslim samuday ke logon ke pramukh tyoharon mein se ek hai. Eid-ul-Fitr ka ye parv Ramadan ke 30 rozon ke baad chaand dekhkar manaya jaata hai.

Vaaise to is parv ko manaye jaane ke lekar kayi saare mat prachalit hai lekin jo Islami manyata sabse adhik prachalit hai uske anusar isi din Paighambar Mohammad sahab ne Badr ke yuddh mein vijay praapt ki thi. Tabhi se is parv ka aarambh hua aur duniya bhar ke musalmaan is din ke jashn ko badi hi dhoom-dhaam ke saath manaane lage.

Vaastav mein Eid-ul-Fitr ka ye tyohar bhaaichare aur prem ko badhava dene wala tyohar hai kyunki is din ko Muslim samuday ke log doosre dharm ke logon ke saath bhi milkar manaate hain aur unhe apne gharon par daawat mein aamantrit karte tatha Allah se apne parivaar aur doston ke salaamati aur barkat ki dua karte hain. Yahi kaaran hai ki Eid-ul-Fitr ke is tyohar ko itne dhoom-dhaam ke saath manaaya jaata hai.

Eid Al Fitr Kaise Manaya Jata Hai? (How Do We Celebrate Eid al-Fitr – Custom and Traditions of Eid al-Fitr)

Eid-ul-Fitr ka parv har saal ki tarah manane ke apna ek vishesh tareeka aur riwaaz hai. Ramadan mahine ke samapt hone ke baad manaya jaata hai aur is din ka mahaul khushnuma hota hai. Is din log subah nahakar naye kapde pehente hain aur masjidon mein namaz padhne ke liye jaate hain.

Is din safed kapde pehanna aur itr lagana bahut shubh mana jaata hai kyunki aisa mana jaata hai ki safed rang saadgi aur pavitrata ki nishani hai. Iske saath hi Eid ke din namaz padhne se pehle khajoor khane ka bhi ek vishesh riwaaz hai. Aisa mana jaata hai namaz padhne se pehle khajoor khane se man shuddh ho jaata hai.

Eid Ul Fitr Kya Hai

Eid-ul-Fitr ke din masjido mein namaz padhne walo ki bhari bhid dekhne ko milti hai. Is din ki namaz ke liye masjido mein vishesh vyavasthaein ki jati hai taaki namaz padhne walon ko kisi tarah ki asuvidha ka samna na karna pade. Namaz adaa karne ke baad sabhi ek-dusre se gale milte hai aur ek-dusre ko Eid ki badhai dete hai. Iske saath hi Eid-ul-Fitr ke mauke par sevaiyan banana aur khilane ka bhi ek vishesh riwaj hai.

Is din lagbhag har musalman ghar mein sevaiyan avashya banayi jati hai aur unke dwara apne mitron, padosiyo aur rishtedaron ko daawat par bhi aamantrit kiya jata hai. Aisa mana jata hai Eid-ul-Fitr ke mauke par sevaiyan khilane se rishton ki kadwahat door ho jati hai.

Iske saath hi is vishesh tyohar par Eidi dene ka bhi ek riwaj hai. Jisme har bada vyakti apne se chhote ko apne samarthya anusar kuchh rupaye ya uphaar pradaan karta hai, isi rakam ya tohfe ko Eidi kaha jata hai.

Eid Al Fitr Ki Aadhunik Parampara (Modern Traditions of Eid Ul Fitr)

Eid-ul-Fitr ke tyohar mein bhi kai prakar ke parivartan hue hain, jinmein se kai parivartan kaafi acche hain. Is parv mein samay ke saath kuch aise bhi parivartan hue hain, jinmein humein badlaav ki aavashyakta hai. Aaj ke samay mein Eid-ul-Fitr ka yeh tyohar pehle ke comparison mein aur bhi jyaada lokpriya ho gaya hai.

Eid ke is parv ki sabse jyaada khaas baat yeh hai ki aaj ke samay mein yeh sirf Muslim dharm ka tyohar nahi raha gaya hai balki doosre dharm ke log bhi is parv ke saath kaafi utsaah ke saath shareek hote hain. Vastav mein is parv ne vibhinn dharmo aur sampardayo ke beech bhaichare aur ekta ko badhane ka bhi kaam kiya hai.

Is din ko Muslim samuday ke logon dwara apne gharon par dawat mein na apne rishtedar aur sange sambandhiyon ko bulaya jata hai balki kee doosre dharm ke doston tatha parichit logon ko bhi aamantrit kiya jata hai. Bharat jaise desh mein Eid-ul-Fitr ka yah tyohar Hindu-Muslim ekta ko badhane ka bhi ek bahut hi mahatvapoorn kary karta hai.

Yahi kaaran hai ki is din ko Bharat mein school, college, office tatha anya sabhi prakar ke sansthan band rahte hain taaki log is vishesh parv ka acche se anand le sake.

Eid Ul Fitr Ka Mahatva ( Significance of Eid Ul Fitr )

Eid-ul-Fitr ka tyohar dharmik aur samajik dono hi roop se kaafi mahatvapoorn hai. Ramzan ke pavitra mahine ke baad manaye jaane wale is jashn ke tyohar ko poore vishv bhar ke Musalmano dwara kaafi dhoom-dhaam ke saath manaya jaata hai.

Is din ko lekar aisi manyata hai ki san 624 mein Jung-e-Badar ke baad, Paigambar Mohammad Sahab ne pehli baar Eid-ul-Fitr ka yeh tyohar manaya tha. Tabhi se is parv ko Musalman dharm ke anuyayiyo dwara har saal kaafi dhoom-dhaam ke saath manaya jaane laga.

Is parv mein samaajik ekta aur bhaaichaare ko badhaava dene mein apna ek ahem yogdaan hai. Is parv ka yeh dharmnirpeksh roop hi sabhi dharmo ke logon ko is tyohaar ke or aakarshit karta hai. Is din Musalman samudaay ke logon dwara apne gharo par daawat ka aayojan kiya jaata hai.

Is daawat ka mukhya hissa hota hai Eid par banne waali vishesh sewai, jise logon dwara kaafi chhaav se khaya jaata hai. Is din Musalman samudaay ke logon dwara doosre dharm ke logon ko bhi apne gharo par daawat ke liye aamantrit kiya jaata hai. Eid ke parv ka yehi prem vyavhaar is parv ki khaasiyat hai, jo samaj mein prem tatha bhaai-chaare ko badhaane ka kaary karta hai.

Eid Ul Fitr Ka Itihas (History of Eid Ul Fitr)

Eid-ul-Fitr ka parv bohot purana maana jata hai. Islamic calendar ke Shawwal mahine ke pehle din is tyohar ko manaaya jaata hai. Iske utpati ke baare mein kai saare matalab aur kathaayein prachalit hai, lekin sabse jyaada prachalit katha ke anusaar, pehli baar Eid-ul-Fitr ka tyohar Prophet Muhammad Sahab ne Jang-e-Badar ke baad manaaya tha.

Jang mein, Muslim logon ne Muhammad Sahab ke netritva mein apne se kai guna badi Makkah ki sena ko haraaya tha. Is vijay ke khushi mein, Allah ka shukriya ada karne ke liye Muhammad Sahab ne Allah ki vishesh ibaadat ki thi aur Eid-ul-Fitr ka tyohar manaaya tha.

Is ghatna ke baad se musalman har saal Ramadan ke pavitra mahine ke baad se pehla chaand dikhne par Eid-ul-Fitr ka tyohaar manaane laga. Is din log Allah ka shukriya ada karte hain ki unhone mahine bhar unhein apna upvaas rakhne ke liye itni shakti pradaan ki. Eid ke din ghar mein badiya bhojan tatha sevaiyaan banana ka riwaj raha hai.

Is din log apne mitron aur rishtedaaron ko apne ghar par daawat ke liye bhi aamntrit karte hain. Iske saath hi is din ko kadwahat door karne wala aur prem tatha bhaaichaare ko badhane wala tyohaar bhi mana jaata hai. Isi kaaran se is din logon dwara aapsi tatha gharelu jhagdon aur vivadon ka bhi nipatara kiya jaata hai.

Is din tohfon ke aadan-pradaan ka bhi riwaj hai. Iske saath hi aisa maana jaata hai ki is din masjid mein jaakar namaz jaroor padhni chahiye aur iske baad apne samarthya anusar garibon ko daan bhi avashya dena chahiye, is kary ko Islami bhasha mein zakat ke naam se jaana jaata hai.

Eid-ul-Fitr ke din jo bhi vyakti aisa karta hai, use Allah ki vishesh kripa praapt hoti hai. Yahi kaaran hai ki is din masjido mein namaz padhne walon ki bhaari bheed dekhne ko milti hai. Apne inhi sanskritik aur aitihashik kaaranon ke wajah se Eid-ul-Fitr ka tyohar na sirf musalmanon balki ki sabhi dharm ke logon mein kaafi prasiddh hai.

Conclusion – Eid Ul Fitr Kya Hai?

Friends, Ummid hai ki aap logo ko iss article se “Eid Ul Fitr Kya Hai?” Ke bare me complate jankari mili hogi. Aise hi Festivals ke bare me janne ke liye aap log hamari Website RDS Kendra visit kar sakte hai.

Read Also
Our TelegramJoin Now
Back GategoryFestivals
Back HomeClick Here

Spread the love

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *